Maine apne jeevan kaal mein na jaane kya kya suna h Aisi baatein jo boli jaani bhi gunah h Jinhe sunke jeene ki ichha mar jaaye Pr main ab bhi khada hoon

Baccho ki khushi ki khilkaariyo se leke Buzorgo ki bimaariyo tak Na jaane kitni hi aapda sahi h maine Pr main ab bhi khada hoon

Kabhi mere andar insaan ko maar diya Kabhi kisi kankaal ko taang diya Na jaane mujhpe ki kitne hi vaar hue Pr main ab bhi khada hoon

Ab bhi issliye khada hoon main Kyunki zameen se juda hoon main Sab kuch hoon sun leta pr kuch bol nhi sakta Khada toh hoon kyunki deewaar hoon main