Main hasta hoon hsata hoon Kya aise hi krke apna dukh chupata hoon Haan kabhi kabhi warna mera kya Main toh kore kagaz pe apna dard bhata hoon
Ummeedo ko nazuk ande sa sambhaalta hoon Puri na hone pe khoon laal ubalta hoon Aur phir mauka milte hi hi Usse kore kagaz pr nikaalta hoon
Choti choti baatein soch ke dukh paana Roothne pr bhi kisi ka na mnana Yeh koi nakhra nhi h Yeh kora kagaz bharne ka bahana h
Dukh dard hassi khushi Yeh sab mila ke ek zindagi chalti h Pr main toh ek kavi hoon Mujhe toh kalam aur kagaz sahare hi duniya dikhti h
Safed kagaz pe kaali syahi h Aaj phir mausam mein tanhayi chahi h Main phir dukh seh ke khush ho lunga Kyunki apni takleefe maine kore kagaz pe bahai h